welcome

welcome

Monday, 28 November 2011

Tum chale jaoge to sochenge……humne kya khoya…humne kya paaya???

Hijr mausam me ye baarish ka barasna kaisa
ek sehra se samundar ka guzarna kaisa ??

Aee mere dil na pareshan ho tanha ho kar
woh tere saath chala kab tha, bicharna kaisa ??

Log kehte hain ke gulshan ki tabaahi dekho
main to veraan sa jungle thi ujarna kaisa ??

Dekhne mein to koi dard nahin, dukh bhi nahin
phir yeh aankhon mein yun ashkon ka ubharna kaisa ??

Bewafa kehne ki jurrat bhii na kerna uss ko
uss ne iqrar kiya kab tha, mukarna kaisa ??

No comments:

Post a Comment