
Tum ho yahin
Mehsoos karti hun main
Jeena pad raha hai
Tumhare bin .shayad isliye
Har pal kishtoon me mar rahi hun main
Sabke saamne haste hue thak gayi hun main
Shayad isliye ..tanha hote hi
Aankhon me nami bhar rahi hun main
Kaate nahi kat ta ye waqt tere bagair
Shahyad isliye jaal dosti ka
apne ird-gird bun rahi hun main
Waqt kya badla halaat badal jaate hain
Jo hain saath unke khayalat badal jaate hain
Apni zinda laash ko, un jaane pehchane
Cheron ki asliyat se wabasta kar rahi hun main
Jhokha hawa ka jab bhi chu kar jaata hai
Lagta hai ki tum ho
Yehi soch kar roz apne aap ko
Chhal rahi hun main .
Zindagi ne diya kabhi kuch bhi nahi
Bas le liya thoda bahut jo tha
Roz bas un gulaboon ko
Kaanton me se chun rahi hun main .
No comments:
Post a Comment